bijli giri to soch ke sab tar kaT gae
bijlī girī to soch ke sab taar kaT ga.e
yak-laḳht raushnī se añdhere lipaT ga.e
sahrā-navardiyoñ meñ to mahfūz the magar
shahroñ ke ās-pās hī ḳheme ulaT ga.e
milne ko chand roz mile the sukūn ke
din apnī umr ke to bahar-hāl ghaT ga.e
saa.e ki phailte hī chale the zamīn par
sūraj ne jūñhī aañkh dikhā.ī simaT ga.e
anjām-e-kār ḳhud hī shikārī the jaal meñ
'ejāz' ahl-e-jaur ke pāñse palaT ga.e
bijli giri to soch ke sab tar kaT gae
yak-laKHt raushni se andhere lipaT gae
sahra-nawardiyon mein to mahfuz the magar
shahron ke aas-pas hi KHeme ulaT gae
milne ko chand roz mile the sukun ke
din apni umr ke to bahar-haal ghaT gae
sae ki phailte hi chale the zamin par
suraj ne junhi aankh dikhai simaT gae
anjam-e-kar KHud hi shikari the jal mein
'ejaz' ahl-e-jaur ke panse palaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.