bijli si jidhar chamak rahi hai
bijlī sī jidhar chamak rahī hai
har aañkh udhar hī tak rahī hai
chal un kī galī meñ zindagī chal
bekār yahāñ bhaTak rahī hai
mahsūs ye ho rahā hai dhartī
rafta rafta sarak rahī hai
kyā hādisa ho gayā hai koī
kyoñ ḳhalq-e-ḳhudā ThiThak rahī hai
is shahr meñ jis taraf bhī dekho
nafrat kī chitā dahak rahī hai
bajte haiñ kahīñ pe shādiyāne
tanhā.ī kahīñ sisak rahī hai
maiñ tujh ko khaTak rahā huuñ yā phir
merī shohrat khaTak rahī hai
chiḌiyā to chalī ga.ī chahak kar
ab yaad tirī chahak rahī hai
āñkhoñ meñ ḳhvāb jāgte haiñ
khetoñ meñ fasl pak rahī hai
ḳhāmosh haiñ sab charāġh ai 'nūr'
be-kār havā sanak rahī hai
bijli si jidhar chamak rahi hai
har aankh udhar hi tak rahi hai
chal un ki gali mein zindagi chal
bekar yahan bhaTak rahi hai
mahsus ye ho raha hai dharti
rafta rafta sarak rahi hai
kya hadisa ho gaya hai koi
kyon KHalq-e-KHuda ThiThak rahi hai
is shahr mein jis taraf bhi dekho
nafrat ki chita dahak rahi hai
bajte hain kahin pe shadiyane
tanhai kahin sisak rahi hai
main tujh ko khaTak raha hun ya phir
meri shohrat khaTak rahi hai
chiDiya to chali gai chahak kar
ab yaad teri chahak rahi hai
aankhon mein KHwab jagte hain
kheton mein fasl pak rahi hai
KHamosh hain sab charagh ai 'nur'
be-kar hawa sanak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.