bijliyan kya kya girain hum pe is taqdir ne
bijliyāñ kyā kyā girā.īñ ham pe is taqdīr ne
dil ko ghāyal kar diyā qismat ke zālim tiir ne
ik sunahrā ḳhvāb in āñkhoñ ne dekhā thā kabhī
ġham diye kyā kyā hameñ us ḳhvāb kī ta.abīr ne
apne hī ghar se bujhā apnī umīdoñ kā charāġh
qatl kar Daalā hai ham ko apnī hī shamshīr ne
phir vahī bhūle fasāne ham ko yaad aane lage
tujh se baḌh kar ġham diye ham ko tirī tasvīr ne
ishq ko iksīr kahte haiñ jahāñ vaale magar
apnī duniyā ḳhaak kar Daalī hai is iksīr ne
bijliyan kya kya girain hum pe is taqdir ne
dil ko ghayal kar diya qismat ke zalim tir ne
ek sunahra KHwab in aankhon ne dekha tha kabhi
gham diye kya kya hamein us KHwab ki tabir ne
apne hi ghar se bujha apni umidon ka charagh
qatl kar Dala hai hum ko apni hi shamshir ne
phir wahi bhule fasane hum ko yaad aane lage
tujh se baDh kar gham diye hum ko teri taswir ne
ishq ko iksir kahte hain jahan wale magar
apni duniya KHak kar Dali hai is iksir ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.