bik chuka to KHayal aaya mujhe
bik chukā to ḳhayāl aayā mujhe
biich bāzār kaun laayā mujhe
maiñ kinārā banā huā thā aur
mere dariyā ne kaaT khāyā mujhe
bārhā dekhā hai ki dekhtā hai
raushnī se nikal ke saaya mujhe
'ishq kī ik zarā sī Thokar ne
jism se ruuh tak hilāyā mujhe
ye fazā rang-o-bū na tere log
terī duniyā meñ kuchh na bhāyā mujhe
donoñ hāthoñ se thaam kar 'sāhib'
maañ ne pahlā qadam chalāyā mujhe
bik chuka to KHayal aaya mujhe
bich bazar kaun laya mujhe
main kinara bana hua tha aur
mere dariya ne kaT khaya mujhe
barha dekha hai ki dekhta hai
raushni se nikal ke saya mujhe
'ishq ki ek zara si Thokar ne
jism se ruh tak hilaya mujhe
ye faza rang-o-bu na tere log
teri duniya mein kuchh na bhaya mujhe
donon hathon se tham kar 'sahib'
man ne pahla qadam chalaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.