bikhar gae hain jo hum kaenat ki surat
bikhar ga.e haiñ jo ham kā.enāt kī sūrat
to jāvedāñ hī raheñge hayāt kī sūrat
jo musta'ār fazāoñ meñ saañs lete haiñ
na dekh pā.eñge mere sabāt kī sūrat
har ek zaḳhm-e-tamannā harā-bharā hai abhī
har ek zaḳhm hai zaḳhm-e-hayāt kī sūrat
yahī haiñ maslahat-āmeziyāñ zamāne kī
judā rahe haiñ jo din aur raat kī sūrat
miTā miTā ke zamāna banā rahā hai mujhe
ubhar rahā huuñ maiñ naqsh-e-hayāt kī sūrat
shikast shab ne na maanī abhī añdherā hai
abhī sahar pe musallat hai raat kī sūrat
raqam kiyā hai vahī kuchh lahū se ham ne bhī
milā hai jo bhī hameñ tajrabāt kī sūrat
charāġh apne lahū ke jalā ke ham ne 'azīm'
sahar-misāl banā dī hai raat kī sūrat
bikhar gae hain jo hum kaenat ki surat
to jawedan hi rahenge hayat ki surat
jo musta'ar fazaon mein sans lete hain
na dekh paenge mere sabaat ki surat
har ek zaKHm-e-tamanna hara-bhara hai abhi
har ek zaKHm hai zaKHm-e-hayat ki surat
yahi hain maslahat-ameziyan zamane ki
juda rahe hain jo din aur raat ki surat
miTa miTa ke zamana bana raha hai mujhe
ubhar raha hun main naqsh-e-hayat ki surat
shikast shab ne na mani abhi andhera hai
abhi sahar pe musallat hai raat ki surat
raqam kiya hai wahi kuchh lahu se hum ne bhi
mila hai jo bhi hamein tajrabaat ki surat
charagh apne lahu ke jala ke hum ne 'azim'
sahar-misal bana di hai raat ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.