bikhar gae hain yahan ja-ba-ja bana dije
bikhar ga.e haiñ yahāñ jā-ba-jā banā diije
hamāre hone kā ik silsila banā diije
hamāre jaisā nahīñ koī yuuñ akele haiñ
hamāre jaisā koī dūsrā banā diije
jahāñ jahāñ haiñ ziyāda ghaTā.iye ham ko
ghaTe hue haiñ jahāñ par sivā banā diije
hamārī samt koī rāsta nahīñ aatā
hamārī samt koī rāsta banā diije
'ajab nahīñ ki sitāroñ ko chhū ke lauT aa.eñ
ye zulf kholiye ham ko havā banā diije
agar qayām ḳhudā kā hai āsmānoñ par
to phir zamīn pe ham ko ḳhudā banā diije
bikhar gae hain yahan ja-ba-ja bana dije
hamare hone ka ek silsila bana dije
hamare jaisa nahin koi yun akele hain
hamare jaisa koi dusra bana dije
jahan jahan hain ziyaada ghaTaiye hum ko
ghaTe hue hain jahan par siwa bana dije
hamari samt koi rasta nahin aata
hamari samt koi rasta bana dije
'ajab nahin ki sitaron ko chhu ke lauT aaen
ye zulf kholiye hum ko hawa bana dije
agar qayam KHuda ka hai aasmanon par
to phir zamin pe hum ko KHuda bana dije
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 75)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.