bikhra paDa tha ja-ba-ja kachra wajud ka
bikhrā paḌā thā jā-ba-jā kachrā vajūd kā
ham chhoḌ aa.e us galī malba vajūd kā
har roz maañg maañg ke letā huuñ saañs bhī
baḌhtā hī jā rahā hai ye qarza vajūd kā
kitnī shikast-o-reḳht huī kuchh nahīñ patā
mujh ko milā nahīñ abhī qabza vajūd kā
taaza havā na raushnī nā bām-o-dar na chhat
mujh ko samajh na aa sakā naqsha vajūd kā
ik umr ho ga.ī use ḳhālī paḌe hue
bigḌā huā hai is liye huliya vajūd kā
kuchh kaḌve ghūñT chāhiyeñ har raat us ko ab
yuuñ aur baḌh gayā hai ye ḳharcha vajūd kā
mere sabab ye ḳhāl-o-ḳhad us ke bigaḌ ga.e
suntā huuñ sub.h shaam ye ta.ana vajūd kā
tum hī batāo kaise chalā us kā silsila
mujh ko to mil sakā nahīñ shajara vajūd kā
ik sher-fahm shaḳhs kī ḳhvāhish pe dosto
lo ham ne likh diyā hai ye nauha vajūd kā
juuñ juuñ maiñ sochtā huuñ taḳhayyul meñ us kā lams
kuchh aur baḌhtā jaatā hai nashsha vajūd kā
merī to ek baat bhī suntā nahīñ ye dil
hāthoñ meñ ab nahīñ rahā bachcha vajūd kā
'dānish' maiñ tang aa gayā is bad-mizāj se
sañbhle nahīñ sañbhaltā hai ġhussa vajūd kā
bikhra paDa tha ja-ba-ja kachra wajud ka
hum chhoD aae us gali malba wajud ka
har roz mang mang ke leta hun sans bhi
baDhta hi ja raha hai ye qarza wajud ka
kitni shikast-o-reKHt hui kuchh nahin pata
mujh ko mila nahin abhi qabza wajud ka
taza hawa na raushni na baam-o-dar na chhat
mujh ko samajh na aa saka naqsha wajud ka
ek umr ho gai use KHali paDe hue
bigDa hua hai is liye huliya wajud ka
kuchh kaDwe ghunT chahiyen har raat us ko ab
yun aur baDh gaya hai ye KHarcha wajud ka
mere sabab ye KHal-o-KHad us ke bigaD gae
sunta hun subh sham ye tana wajud ka
tum hi batao kaise chala us ka silsila
mujh ko to mil saka nahin shajara wajud ka
ek sher-fahm shaKHs ki KHwahish pe dosto
lo hum ne likh diya hai ye nauha wajud ka
jun jun main sochta hun taKHayyul mein us ka lams
kuchh aur baDhta jata hai nashsha wajud ka
meri to ek baat bhi sunta nahin ye dil
hathon mein ab nahin raha bachcha wajud ka
'danish' main tang aa gaya is bad-mizaj se
sanbhle nahin sanbhalta hai ghussa wajud ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.