bikhre hue KHayal main lafzon mein Dhaal kar
bikhre hue ḳhayāl maiñ lafzoñ meñ Dhaal kar
ġhazloñ maiñ apnī rakhtī huuñ aksar sañbhāl kar
yādoñ kī ḳhushbuoñ se mahaktā hai ghar mirā
paḌhtī huuñ jab bhī ḳhat maiñ purāne nikāl kar
shohrat kamā rahe haiñ ye channel na.e na.e
T v pe ek duuje kī pagḌī uchhāl kar
saare gunāh rakh liye maiñ ne ḳhushī ḳhushī
'divyā' tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar
bikhre hue KHayal main lafzon mein Dhaal kar
ghazlon main apni rakhti hun aksar sanbhaal kar
yaadon ki KHushbuon se mahakta hai ghar mera
paDhti hun jab bhi KHat main purane nikal kar
shohrat kama rahe hain ye channel nae nae
T w pe ek duje ki pagDi uchhaal kar
sare gunah rakh liye main ne KHushi KHushi
'diwya' tamam nekiyan dariya mein Dal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.