bikhre hue KHayal sanad DhunDte rahe
bikhre hue ḳhayāl sanad DhūñDte rahe
rātoñ meñ ham charāġh kī had DhūñDte rahe
dariyā ke paar utrī to manzar ajiib thā
vo jazr ho chuke the jo mad DhūñDte rahe
nekī kahāñ chhupī hai kahāñ pāk-bāz haiñ
karne ko un kā ḳhātma bad DhūñDte rahe
izzat kā jin ko paas na hurmat kī koī qadr
shohrat ke vāste mirā qad DhūñDte rahe
detī rahī duā unheñ zahrā kī aal huuñ
zam ho ga.e jo nasloñ meñ jadd DhūñDte rahe
bikhre hue KHayal sanad DhunDte rahe
raaton mein hum charagh ki had DhunDte rahe
dariya ke par utri to manzar ajib tha
wo jazr ho chuke the jo mad DhunDte rahe
neki kahan chhupi hai kahan pak-baz hain
karne ko un ka KHatma bad DhunDte rahe
izzat ka jin ko pas na hurmat ki koi qadr
shohrat ke waste mera qad DhunDte rahe
deti rahi dua unhen zahra ki aal hun
zam ho gae jo naslon mein jadd DhunDte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.