bil-yaqin paikar-e-shabab hai wo
bil-yaqīñ paikar-e-shabāb hai vo
jis kī nazroñ kā intiḳhāb hai vo
ek ḳhākī huuñ maiñ to gard-ālūd
mere chehre kī āb-o-tāb hai vo
aag sī dhuup meñ huuñ mahv-e-safar
chhāñv ban kar jo ham-rikāb hai vo
maiñ jo mahdūd huuñ talātum tak
mere idrāk meñ habāb hai vo
phir bhī lāzim mutāla merā
yuuñ to ik baab huuñ kitāb hai vo
us kī jānib sabhī rujūa kareñ
kul savālāt kā javāb hai vo
jis kī ta.abīr hai usī ke paas
merī hastī kā aisā ḳhvāb hai vo
is kī tasdīq āsmān kare
reg-zāroñ kā kyā sahāb hai vo
jis kī bū-bās har badan meñ hai
gulshan-e-zīst kā gulāb hai vo
ye tumhārī nazar kā dhokā hai
ek sahrā huuñ maiñ sarāb hai vo
ashk se ho ki ḳhuun se nisbat
ek ik buuñd kā hisāb hai vo
us kā koī to ho subūt 'figār'
kaun mānegā inqalāb hai vo
bil-yaqin paikar-e-shabab hai wo
jis ki nazron ka intiKHab hai wo
ek KHaki hun main to gard-alud
mere chehre ki aab-o-tab hai wo
aag si dhup mein hun mahw-e-safar
chhanw ban kar jo ham-rikab hai wo
main jo mahdud hun talatum tak
mere idrak mein habab hai wo
phir bhi lazim mutala mera
yun to ek bab hun kitab hai wo
us ki jaanib sabhi rujua karen
kul sawalat ka jawab hai wo
jis ki tabir hai usi ke pas
meri hasti ka aisa KHwab hai wo
is ki tasdiq aasman kare
reg-zaron ka kya sahab hai wo
jis ki bu-bas har badan mein hai
gulshan-e-zist ka gulab hai wo
ye tumhaari nazar ka dhoka hai
ek sahra hun main sarab hai wo
ashk se ho ki KHun se nisbat
ek ek bund ka hisab hai wo
us ka koi to ho subut 'figar'
kaun manega inqalab hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.