bila matlab koi aata nahin tha
bilā matlab koī aatā nahīñ thā
hamāre ghar meñ darvāza nahīñ thā
mire tālāb se gahrā nahīñ thā
vo kuchh bhī thā magar dariyā nahīñ thā
samundar is liye barham thā mujh se
maiñ sahrā thā magar pyāsā nahīñ thā
mukammal jab huī tasvīr merī
to koī dekhne vaalā nahīñ thā
jo kāñToñ par kitābeñ likh rahe the
koī un meñ barahna-pā nahīñ thā
sadārat aur nizāmat ke 'alāva
mirī mahfil meñ kuchh hotā nahīñ thā
lakīreñ roz ginvātī haiñ mujh se
mirī taqdīr meñ kyā kyā nahīñ thā
bila matlab koi aata nahin tha
hamare ghar mein darwaza nahin tha
mere talab se gahra nahin tha
wo kuchh bhi tha magar dariya nahin tha
samundar is liye barham tha mujh se
main sahra tha magar pyasa nahin tha
mukammal jab hui taswir meri
to koi dekhne wala nahin tha
jo kanTon par kitaben likh rahe the
koi un mein barahna-pa nahin tha
sadarat aur nizamat ke 'alawa
meri mahfil mein kuchh hota nahin tha
lakiren roz ginwati hain mujh se
meri taqdir mein kya kya nahin tha
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 98)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.