bin bahaaran faza se kya lena
bin bahārāñ fazā se kyā lenā
bū-e-gul bin sabā se kyā lenā
shauq hai jab hamārā parda-kushā
ham ko us kī hayā se kyā lenā
ye mirā kaam mujh ko karne do
tum ko rasm-e-vafā se kyā lenā
raat hai maiñ huuñ aur tal’at-e-vasl
mujh ko sub.h-e-safā se kyā lenā
us ko shikve pe aa rahī hai hañsī
us ko shikva-sarā se kyā lenā
dil use chāhtā hai chāhegā
marzī-e-dil-rubā se kyā lenā
ibtidā ḳhuub us ke lutf kī hai
ai 'suhail' intihā se kyā lenā
bin bahaaran faza se kya lena
bu-e-gul bin saba se kya lena
shauq hai jab hamara parda-kusha
hum ko us ki haya se kya lena
ye mera kaam mujh ko karne do
tum ko rasm-e-wafa se kya lena
raat hai main hun aur tal’at-e-wasl
mujh ko subh-e-safa se kya lena
us ko shikwe pe aa rahi hai hansi
us ko shikwa-sara se kya lena
dil use chahta hai chahega
marzi-e-dil-ruba se kya lena
ibtida KHub us ke lutf ki hai
ai 'suhail' intiha se kya lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.