bin tere dil ke nagar ko main basaun kaise
bin tire dil ke nagar ko maiñ basā.ūñ kaise
tujh ko dul.han maiñ banā.ūñ to banā.ūñ kaise
zindagī mujh ko mirī qabr pe le aa.ī hai
aanā chāhūñ maiñ tire paas to aa.uuñ kaise
bevafā.ī kī sifat us kī nahīñ jaatī hai
apne dil kā use ham-rāz banā.ūñ kaise
ai ḳhudā tū ne mire 'aib chhupā rakkhe haiñ
ai ḳhudā maiñ tirā ehsān chukā.ūñ kaise
vo to patthar hai use kuchh na samajh aa.egī
dāstāñ us ko sunā.ūñ to sunā.ūñ kaise
jab mirā rab hī 'atā kartā hai mujh ko sab kuchh
ġhair ke dar pe jabīñ apnī jhukā.ūñ kaise
saath rahtā nahīñ 'minhāj' hamesha vo bhī
mujh se rūThā hai mirā 'aks manā.ūñ kaise
bin tere dil ke nagar ko main basaun kaise
tujh ko dulhan main banaun to banaun kaise
zindagi mujh ko meri qabr pe le aai hai
aana chahun main tere pas to aaun kaise
bewafai ki sifat us ki nahin jati hai
apne dil ka use ham-raaz banaun kaise
ai KHuda tu ne mere 'aib chhupa rakkhe hain
ai KHuda main tera ehsan chukaun kaise
wo to patthar hai use kuchh na samajh aaegi
dastan us ko sunaun to sunaun kaise
jab mera rab hi 'ata karta hai mujh ko sab kuchh
ghair ke dar pe jabin apni jhukaun kaise
sath rahta nahin 'minhaj' hamesha wo bhi
mujh se ruTha hai mera 'aks manaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.