bin teri did ke kis tarah guzara hoga
bin tirī diid ke kis tarah guzāra hogā
tū na hogā to mujhe kis kā sahārā hogā
aa gale mil ke abhī hijr kā mātam kar leñ
kis ko ma.alūm kahāñ mel dobāra hogā
yā tirī diid kī ḳhvāhish ne chamak baḳhshī hai
yā rah-e-ḳhāk ne chehre ko nikhārā hogā
aaj kis muñh se gila karte ho luT jaane kā
maiñ na kahtā thā mohabbat meñ ḳhasāra hogā
har na.e saal yahāñ baañs na.e ugte haiñ
is jagah dafn koī dard kā maarā hogā
zindagī ijz ke lamhoñ meñ guzāro apnī
vaqt ke shaah banoge to ḳhasāra hogā
bin teri did ke kis tarah guzara hoga
tu na hoga to mujhe kis ka sahaara hoga
aa gale mil ke abhi hijr ka matam kar len
kis ko malum kahan mel dobara hoga
ya teri did ki KHwahish ne chamak baKHshi hai
ya rah-e-KHak ne chehre ko nikhaara hoga
aaj kis munh se gila karte ho luT jaane ka
main na kahta tha mohabbat mein KHasara hoga
har nae sal yahan bans nae ugte hain
is jagah dafn koi dard ka mara hoga
zindagi ijz ke lamhon mein guzaro apni
waqt ke shah banoge to KHasara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.