bin tumhaare rahi be-qarari bahut
bin tumhāre rahī be-qarārī bahut
lamha-lamha rahā dil pe bhārī bahut
yaad ban kar mahaktā rahegā sadā
zaḳhm us ne diyā ham ko kaarī bahut
chaal qismat ke aage koī kab chalī
paas apne thī yuuñ hoshiyārī bahut
raat curfew bhī thā aur dhamāke hue
ḳhauf dil pe rahā apne taarī bahut
dekhte raunaqeñ kyā nagar kī bhalā
sar pe apne rahī zimmedārī bahut
kaise karte batā sar ko ḳham ham bhalā
bojh apnā anā kā thā bhārī bahut
naqsh-e-pā apne maazī ne chhoḌe nahīñ
pahle logoñ meñ thī vaz.a-dārī bahut
bin tumhaare rahi be-qarari bahut
lamha-lamha raha dil pe bhaari bahut
yaad ban kar mahakta rahega sada
zaKHm us ne diya hum ko kari bahut
chaal qismat ke aage koi kab chali
pas apne thi yun hoshiyari bahut
raat curfew bhi tha aur dhamake hue
KHauf dil pe raha apne tari bahut
dekhte raunaqen kya nagar ki bhala
sar pe apne rahi zimmedari bahut
kaise karte bata sar ko KHam hum bhala
bojh apna ana ka tha bhaari bahut
naqsh-e-pa apne mazi ne chhoDe nahin
pahle logon mein thi waza-dari bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.