bin tumhaare zindagi ye zindagi hai hi nahin
bin tumhāre zindagī ye zindagī hai hī nahīñ
is se baḌh kar ishq meñ bechārgī hai hī nahīñ
laḌkhaḌāte ye qadam gar tum talak pahuñche nahīñ
āshiqī meñ phir mirī dīvāngī hai hī nahīñ
aap sañvre aur saje yuuñ aa.ine ke sāmne
aap ke jaisī kisī meñ sādgī hai hī nahīñ
sāmne hote hue bhī aap nazreñ pher leñ
is se baḌh kar ishq meñ nārāzgī hai hī nahīñ
umr-bhar ke vāste ik dūsre ke ho ga.e
is se zyāda ishq kī pākīzgī hai hī nahīñ
bin tumhaare zindagi ye zindagi hai hi nahin
is se baDh kar ishq mein bechaargi hai hi nahin
laDkhaDate ye qadam gar tum talak pahunche nahin
aashiqi mein phir meri diwangi hai hi nahin
aap sanwre aur saje yun aaine ke samne
aap ke jaisi kisi mein sadgi hai hi nahin
samne hote hue bhi aap nazren pher len
is se baDh kar ishq mein naraazgi hai hi nahin
umr-bhar ke waste ek dusre ke ho gae
is se zyaada ishq ki pakizgi hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.