bina dekhe sunahre KHwab ka naqsha bana Dala
binā dekhe sunahre ḳhvāb kā naqsha banā Daalā
tasavvur āshiqī kā aap ne achchhā banā Daalā
ġhazab kā khel dikhlāyā hai jādūgar bahāroñ ne
chhupā kar sāya-e-gul meñ mujhe kāñTā banā Daalā
maiñ ab apne tasavvur meñ hamesha qais rahtā huuñ
ye kis lailā ne mere zehn ko sahrā banā Daalā
khurach kar zard talvoñ se bahut lambī masāfat ko
bilā unvān ise chhoTā sā ik qissa banā Daalā
kahāñ ab ḳhuun rulvāte haiñ us ke ġham mujhe 'rizvān'
usī kī be-niyāzī ne to be-parvā banā Daalā
bina dekhe sunahre KHwab ka naqsha bana Dala
tasawwur aashiqi ka aap ne achchha bana Dala
ghazab ka khel dikhlaya hai jadugar bahaaron ne
chhupa kar saya-e-gul mein mujhe kanTa bana Dala
main ab apne tasawwur mein hamesha qais rahta hun
ye kis laila ne mere zehn ko sahra bana Dala
khurach kar zard talwon se bahut lambi masafat ko
bila unwan ise chhoTa sa ek qissa bana Dala
kahan ab KHun rulwate hain us ke gham mujhe 'rizwan'
usi ki be-niyazi ne to be-parwa bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.