bina maKHraj ke ho dariya rawan aise nahin hota
binā maḳhraj ke ho dariyā ravāñ aise nahīñ hotā
jale ātish na ho koī dhuāñ aise nahīñ hotā
mohabbat dil ko ho jaa.e garāñ aise nahīñ hotā
makīñ par tang ho jaa.e makāñ aise nahīñ hotā
jinheñ kal tak maiñ sikhlātā thā haañ aise nahīñ hotā
vahī log aaj kahte haiñ miyāñ aise nahīñ hotā
safar meñ rāhbar haiñ to ka.ī rahzan bhī ā.eñge
mileñ duniyā meñ sab hī mehrbāñ aise nahīñ hotā
jinheñ chāheñ vo badle meñ isī tarah hameñ chāheñ
bajā ummīd hai lekin miyāñ aise nahīñ hotā
na kholo chashm-e-duniyā par nigāh-e-dost ke asrār
jo bāteñ raaz hoñ un kā bayāñ aise nahīñ hotā
yahī hotā to phir saarā jahāñ aise nahīñ hotā
yahāñ aise nahīñ hotā vahāñ aise nahīñ hotā
amal radd-e-amal ke vāste hai lāzmī sāhib
koī bhī ḳhush-gumāñ yā bad-gumāñ aise nahīñ hotā
kisī se mehr chāho jab ki us se be-ruḳhī barto
tumheñ ma.alūm hai naañ merī jaañ aise nahīñ hotā
samundar apnī tah meñ jaisā rakhtā hai sakūñ ai dost
nazar bāhar bhī aa.e vo samāñ aise nahīñ'' hotā
vo harjā.ī hai par dil se nikālā bhī nahīñ jaatā
chaman ḳhud se ujāḌe bāġhbāñ aise nahīñ hotā
kisī kī chaah meñ kyoñ itne aage baḌh ga.e ho 'shams'
ḳhud apne aap ko ho ab garāñ aise nahīñ hotā
bina maKHraj ke ho dariya rawan aise nahin hota
jale aatish na ho koi dhuan aise nahin hota
mohabbat dil ko ho jae garan aise nahin hota
makin par tang ho jae makan aise nahin hota
jinhen kal tak main sikhlata tha han aise nahin hota
wahi log aaj kahte hain miyan aise nahin hota
safar mein rahbar hain to kai rahzan bhi aaenge
milen duniya mein sab hi mehrban aise nahin hota
jinhen chahen wo badle mein isi tarah hamein chahen
baja ummid hai lekin miyan aise nahin hota
na kholo chashm-e-duniya par nigah-e-dost ke asrar
jo baaten raaz hon un ka bayan aise nahin hota
yahi hota to phir sara jahan aise nahin hota
yahan aise nahin hota wahan aise nahin hota
amal radd-e-amal ke waste hai lazmi sahib
koi bhi KHush-guman ya bad-guman aise nahin hota
kisi se mehr chaho jab ki us se be-ruKHi barto
tumhein malum hai nan meri jaan aise nahin hota
samundar apni tah mein jaisa rakhta hai sakun ai dost
nazar bahar bhi aae wo saman aise nahin hota
wo harjai hai par dil se nikala bhi nahin jata
chaman KHud se ujaDe baghban aise nahin hota
kisi ki chah mein kyon itne aage baDh gae ho 'shams'
KHud apne aap ko ho ab garan aise nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.