Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bina matlab ki wahshat ho rahi hai

Shaariq Qamar

bina matlab ki wahshat ho rahi hai

Shaariq Qamar

MORE BYShaariq Qamar

    binā matlab vahshat ho rahī hai

    koī hālat meñ hālat ho rahī hai

    ġhamoñ is qadar aadī huā huuñ

    ki ab ḳhushiyoñ se dahshat ho rahī hai

    zehn pe dhuul jamtī rahī hai

    adākārī musallat ho rahī hai

    tujhe vahshat meñ gaalī bak rahā huuñ

    phir is hālat pe hairat ho rahī hai

    tire ehsās pāgal ho ga.e haiñ

    sarāboñ se shikāyat ho rahī hai

    guzārī rahī hai zindagī yuuñ

    kisī beva iddat ho rahī hai

    nigāh-e-ḳhushk se ronā paḌegā

    yahāñ paanī qillat ho rahī hai

    ḳhushī vaalī rageñ sākin haiñ kab se

    dukhoñ vaalī meñ harakat ho rahī hai

    bhale shā.ir suḳhan na kar sakeñge

    ġhalīz-o-bad nizāmat ho rahī hai

    mire andar jo ik pāgal hai 'shāriq'

    usī hai jo himmat ho rahī hai

    bina matlab ki wahshat ho rahi hai

    koi haalat mein haalat ho rahi hai

    ghamon ka is qadar aadi hua hun

    ki ab KHushiyon se dahshat ho rahi hai

    zehn pe dhul jamti ja rahi hai

    adakari musallat ho rahi hai

    tujhe wahshat mein gali bak raha hun

    phir is haalat pe hairat ho rahi hai

    tere ehsas pagal ho gae hain

    sarabon se shikayat ho rahi hai

    guzari ja rahi hai zindagi yun

    kisi bewa ki iddat ho rahi hai

    nigah-e-KHushk se rona paDega

    yahan pani ki qillat ho rahi hai

    KHushi wali ragen sakin hain kab se

    dukhon wali mein harakat ho rahi hai

    bhale shair suKHan na kar sakenge

    ghaliz-o-bad nizamat ho rahi hai

    mere andar jo ek pagal hai 'shaariq'

    usi ki hai jo himmat ho rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now