bina murghe ke par jhaTakti hain
binā murġhe ke par jhaTaktī haiñ
murġhiyāñ dar-ba-dar bhaTaktī haiñ
nazm itrā.e to bajā bhī hai
bī ġhazal kis liye maTaktī haiñ
ek hāsid kī ek nāqid kī
sar pe talvāreñ do laTaktī haiñ
ye bhī shā.er haiñ in ke bāloñ meñ
fikr-o-fan kī jueñ bhaTaktī haiñ
'alvī' ye goliyāñ haiñ shohrat kī
ye gale meñ kahāñ aTaktī haiñ
bina murghe ke par jhaTakti hain
murghiyan dar-ba-dar bhaTakti hain
nazm itrae to baja bhi hai
bi ghazal kis liye maTakti hain
ek hasid ki ek naqid ki
sar pe talwaren do laTakti hain
ye bhi shaer hain in ke baalon mein
fikr-o-fan ki juen bhaTakti hain
'alwi' ye goliyan hain shohrat ki
ye gale mein kahan aTakti hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 46)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.