bina tere adhuri hai KHushi sare zamane ki
binā tere adhūrī hai ḳhushī saare zamāne kī
vajah kuchh bhī nahīñ hai zindagī meñ muskurāne kī
samajhtā hī nahīñ koī zabāñ mazlūm logoñ kī
zarūrat aa paḌī hai ab qalam kāġhaz uThāne kī
lagā.ī thī jo ummīdeñ mirī maañ ne kabhī mujh se
karūñgī maiñ yahī koshish unhīñ sab ko nibhāne kī
bache haiñ ġham muqaddar meñ nahīñ baaqī ḳhushī koī
karūñ koshish sabhī se āñsuoñ ko maiñ chhupāne kī
mukammal ho nahīñ saktī kabhī bhī 'ā.isha' ab to
ḳhabar koī to dī hotī mujhe yuuñ chhoḌ jaane kī
bina tere adhuri hai KHushi sare zamane ki
wajah kuchh bhi nahin hai zindagi mein muskurane ki
samajhta hi nahin koi zaban mazlum logon ki
zarurat aa paDi hai ab qalam kaghaz uThane ki
lagai thi jo ummiden meri man ne kabhi mujh se
karungi main yahi koshish unhin sab ko nibhane ki
bache hain gham muqaddar mein nahin baqi KHushi koi
karun koshish sabhi se aansuon ko main chhupane ki
mukammal ho nahin sakti kabhi bhi 'aisha' ab to
KHabar koi to di hoti mujhe yun chhoD jaane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.