bina yahi thi zamane mein dil lagane ki
binā yahī thī zamāne meñ dil lagāne kī
kahāniyāñ banīñ lākhoñ mire fasāne kī
ye raah dekhtī hai kab se un ke aane kī
mirī nazar ko ḳhabar kuchh nahīñ bahāne kī
koī havas na kare un se dil lagāne kī
likhī ga.ī yahī surḳhī mire fasāne kī
kahīñ jo shīsha-o-sāġhar ko ham ne dekh liye
nazar meñ phir ga.ī sūrat sharāb-ḳhāne kī
bachegā aap na fasl-e-bahār meñ dāman
kisī ko fikr ho kyā dhajjiyāñ uḌāne kī
sañbhal kar aap suneñ mujh se dāstān-e-firāq
bayān-e-hashr hai tamhīd is fasāne kī
asīr-e-zulf hilātā hai paañv kī zanjīr
kahīñ na gir paḌe dīvār qaid-ḳhāne kī
kuchh aur ban na paḌī un se ho ga.e vo ḳhamosh
jab aa.ī hashr meñ baarī mire fasāne kī
ye kis ke muñh meñ zabāñ hai jo kah sake 'bismil'
mirī zabān nahīñ 'dāġh' ke gharāne kī
bina yahi thi zamane mein dil lagane ki
kahaniyan banin lakhon mere fasane ki
ye rah dekhti hai kab se un ke aane ki
meri nazar ko KHabar kuchh nahin bahane ki
koi hawas na kare un se dil lagane ki
likhi gai yahi surKHi mere fasane ki
kahin jo shisha-o-saghar ko hum ne dekh liye
nazar mein phir gai surat sharab-KHane ki
bachega aap na fasl-e-bahaar mein daman
kisi ko fikr ho kya dhajjiyan uDane ki
sanbhal kar aap sunen mujh se dastan-e-firaq
bayan-e-hashr hai tamhid is fasane ki
asir-e-zulf hilata hai panw ki zanjir
kahin na gir paDe diwar qaid-KHane ki
kuchh aur ban na paDi un se ho gae wo KHamosh
jab aai hashr mein bari mere fasane ki
ye kis ke munh mein zaban hai jo kah sake 'bismil'
meri zaban nahin 'dagh' ke gharane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.