biphre dariya ki rawani se nikal aae hain
biphre dariyā kī ravānī se nikal aa.e haiñ
ham binā bhīge hī paanī se nikal aa.e haiñ
shukr hai itne samajhdār hue haiñ bachche
raajā raanī kī kahānī se nikal aa.e haiñ
aa.ina dekh ke hairān huā hai kyā kyā
aañkh jhapkī to javānī se nikal aa.e haiñ
kiina rakh kar to milā kartā thā ham se aksar
ham tirī charb-zabānī se nikal aa.e haiñ
sun le ai ham ko tan-āsān samajhne vaale
ham dabe paañv kahānī se nikal aa.e haiñ
ham ki hijrat ke azāboñ se guzarne vaale
āḳhirash naql-e-makānī se nikal aa.e haiñ
aap ke naqsh miTāne kī sa.ī lā-hāsil
aap phir merī kahānī se nikal aa.e haiñ
zindagī ab na.ī uljhan meñ na uljhā ham ko
ham tirī sho.ala-bayānī se nikal aa.e haiñ
kis tarah aa.e yaqīñ ab tirī bātoñ pe 'ġhazal'
ham tirī shoḳh-bayānī se nikal aa.e haiñ
biphre dariya ki rawani se nikal aae hain
hum bina bhige hi pani se nikal aae hain
shukr hai itne samajhdar hue hain bachche
raja rani ki kahani se nikal aae hain
aaina dekh ke hairan hua hai kya kya
aankh jhapki to jawani se nikal aae hain
kina rakh kar to mila karta tha hum se aksar
hum teri charb-zabani se nikal aae hain
sun le ai hum ko tan-asan samajhne wale
hum dabe panw kahani se nikal aae hain
hum ki hijrat ke azabon se guzarne wale
aaKHirash naql-e-makani se nikal aae hain
aap ke naqsh miTane ki sai la-hasil
aap phir meri kahani se nikal aae hain
zindagi ab nai uljhan mein na uljha hum ko
hum teri shoala-bayani se nikal aae hain
kis tarah aae yaqin ab teri baaton pe 'ghazal'
hum teri shoKH-bayani se nikal aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.