biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai
biphrī lahreñ raat añdherī aur balā kī āñdhī hai
girdāboñ ne bhī gherā hai naav bhī TūTī-phūTī hai
kis ne rakh Daale añgāre dil sī shāḳh kī āñkhoñ par
vo kyuuñ bhūlā ye ḳhushiyoñ ke phuul khilāne vaalī hai
jis ko terā saath milā vo ḳhush na rahe kyuuñ phūloñ sā
terā to chhū lenā tak bhī hijr ke rog meñ shāfī hai
had meñ ho to pyaar hai achchhā varna ye bhī zahmat hai
jaise ik chiñgārī bhaḌke to jañgal par bhārī hai
biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai
girdabon ne bhi ghera hai naw bhi TuTi-phuTi hai
kis ne rakh Dale angare dil si shaKH ki aankhon par
wo kyun bhula ye KHushiyon ke phul khilane wali hai
jis ko tera sath mila wo KHush na rahe kyun phulon sa
tera to chhu lena tak bhi hijr ke rog mein shafi hai
had mein ho to pyar hai achchha warna ye bhi zahmat hai
jaise ek chingari bhaDke to jangal par bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.