biradaron ka mizaj badle ya ghar ka sara riwaj badle
birādaroñ kā mizāj badle yā ghar kā saarā rivāj badle
rahī ye ḳhvāhish hamesha apnī jo kal badalnā hai aaj badle
hameñ to matlab hai roTiyoñ se jo bāl-bachchoñ kā peT bhar de
ġharaz nahīñ hai koī bhī ham ko ye taḳht badle ki taaj badle
abhī bhī zehnoñ meñ sādgī hai ki gaañv chhoḌe zamāna biitā
ki shahr meñ bas ga.e haiñ lekin kahāñ hamāre mizāj badle
jo vaqt ke saath chalte rahte ye baat paidā na hotī hargiz
ho mustahiq tum sazā ke yuuñ bhī na tum ne apne rivāj badle
bure-bhale kā tū ḳhud hai mālik jo dil meñ aa.e vo kar le 'saifī'
tujhe badalnā hai to badal jā nahīñ ye mumkin samāj badle
biradaron ka mizaj badle ya ghar ka sara riwaj badle
rahi ye KHwahish hamesha apni jo kal badalna hai aaj badle
hamein to matlab hai roTiyon se jo baal-bachchon ka peT bhar de
gharaz nahin hai koi bhi hum ko ye taKHt badle ki taj badle
abhi bhi zehnon mein sadgi hai ki ganw chhoDe zamana bita
ki shahr mein bas gae hain lekin kahan hamare mizaj badle
jo waqt ke sath chalte rahte ye baat paida na hoti hargiz
ho mustahiq tum saza ke yun bhi na tum ne apne riwaj badle
bure-bhale ka tu KHud hai malik jo dil mein aae wo kar le 'saifi'
tujhe badalna hai to badal ja nahin ye mumkin samaj badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.