birajman wo gar dil ke aastan mein hai
birājmān vo gar dil ke āstān meñ hai
koī batā.egā phir kaun lā-makān meñ hai
tumhārī yaad kā dhuñdlā sā naqsh hai dil par
tumhārā aks abhī tak mire gumān meñ hai
mujhe to faḳhr hai urdu meñ sher kahtā huuñ
magar jo lutf mirī mādarī zabān meñ hai
jise ye ahl-e-vafā dil kā naam dete haiñ
matā.a-e-jān tirā ġham isī dukān meñ hai
hameñ talāsh na karnā kitāb-e-nafrat meñ
hamārā zikr mohabbat kī dāstān meñ hai
ye shā.erī mire aslāf kā asāsa hai
suḳhanvarī kā chalan mere ḳhāndān meñ hai
usī ne ham ko bhulāyā hai yaar 'sāgar' jī
vo ek shaḳhs jo ab tak mire dhiyān meñ hai
birajman wo gar dil ke aastan mein hai
koi bataega phir kaun la-makan mein hai
tumhaari yaad ka dhundla sa naqsh hai dil par
tumhaara aks abhi tak mere guman mein hai
mujhe to faKHr hai urdu mein sher kahta hun
magar jo lutf meri madari zaban mein hai
jise ye ahl-e-wafa dil ka nam dete hain
mataa-e-jaan tera gham isi dukan mein hai
hamein talash na karna kitab-e-nafrat mein
hamara zikr mohabbat ki dastan mein hai
ye shaeri mere aslaf ka asasa hai
suKHanwari ka chalan mere KHandan mein hai
usi ne hum ko bhulaya hai yar 'sagar' ji
wo ek shaKHs jo ab tak mere dhiyan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.