birha ki kali raaton mein jab bhi dil ghabraata hai
birha ki kali raaton mein jab bhi dil ghabraata hai
Naseem Zaidi Trishul
MORE BYNaseem Zaidi Trishul
birhā kī kaalī rātoñ meñ jab bhī dil ghabrātā hai
maiñ dil ko samjhātā huuñ aur dil mujh ko samjhātā hai
us jaisā be-bāk na dekhā maiñ ne koī zamāne meñ
merā hī dil chorī kar ke mujh se nazar milātā hai
ā.īne ko kyoñ hairat hai dekh ke mere ashkoñ ko
tanhā.ī meñ rone se ġham kā bādal chhaT jaatā hai
tark-e-vafā karne kī us kī apnī hī majbūrī thī
phir bhī us ko dekh ke tanhā dil merā bhar aatā hai
pyaar mirā to jhuTlātā hai har apne begāne se
aisī bāteñ kar ke mere dil ko kyoñ dahlātā hai
aaj ghirā huuñ ġham ke bhañvar meñ kal ḳhushiyāñ hoñgī hāsil
maujoñ se jo Takrātā hai vo sāhil pā jaatā hai
ye duniyā jab zaḳhm koī detī hai maiñ hañs detā huuñ
lekin āñkheñ bhar aatī haiñ zikr jo terā aatā hai
birha ki kali raaton mein jab bhi dil ghabraata hai
main dil ko samjhata hun aur dil mujh ko samjhata hai
us jaisa be-bak na dekha main ne koi zamane mein
mera hi dil chori kar ke mujh se nazar milata hai
aaine ko kyon hairat hai dekh ke mere ashkon ko
tanhai mein rone se gham ka baadal chhaT jata hai
tark-e-wafa karne ki us ki apni hi majburi thi
phir bhi us ko dekh ke tanha dil mera bhar aata hai
pyar mera to jhuTlata hai har apne begane se
aisi baaten kar ke mere dil ko kyon dahlata hai
aaj ghira hun gham ke bhanwar mein kal KHushiyan hongi hasil
maujon se jo Takraata hai wo sahil pa jata hai
ye duniya jab zaKHm koi deti hai main hans deta hun
lekin aankhen bhar aati hain zikr jo tera aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.