bistar-e-karb pe jab nind jalai maine
bistar-e-karb pe jab niiñd jalā.ī maiñ ne
tab kisī ḳhvāb kī buniyād uThā.ī maiñ ne
zaḳhm aise the ki har shaḳhs ke aage rakkhe
baat aisī thī ki ḳhud se bhī chhupā.ī maiñ ne
hurmat-e-ġham ke liye ḳhud ko aziyyat baḳhshī
phir usī dard se taskīn bhī paa.ī maiñ ne
maiñ ne zaḳhmoñ ko kuredā unheñ taaza rakkhā
tab kahīñ dasht meñ kī naġhma-sarā.ī maiñ ne
apnī khiḌkī se yūñhī ḳhud ko pukārā kal shab
aur phir ḳhud ko vo āvāz sunā.ī maiñ ne
jaane vaale se rag-e-jāñ kā bhī rishta thā 'samīr'
ye samajhne meñ bahut der lagā.ī maiñ ne
bistar-e-karb pe jab nind jalai main ne
tab kisi KHwab ki buniyaad uThai main ne
zaKHm aise the ki har shaKHs ke aage rakkhe
baat aisi thi ki KHud se bhi chhupai main ne
hurmat-e-gham ke liye KHud ko aziyyat baKHshi
phir usi dard se taskin bhi pai main ne
main ne zaKHmon ko kureda unhen taza rakkha
tab kahin dasht mein ki naghma-sarai main ne
apni khiDki se yunhi KHud ko pukara kal shab
aur phir KHud ko wo aawaz sunai main ne
jaane wale se rag-e-jaan ka bhi rishta tha 'samir'
ye samajhne mein bahut der lagai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.