bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai
bistar kī shikan aas kī shahnā.ī Dase hai
ik dard ubhar aa.e hai tanhā.ī Dase hai
jab dekhūñ maiñ ā.īne meñ murjhā.ī sī sūrat
darpan se ubhar kar tirī añgḌā.ī Dase hai
muskān vo matvālī adā surḳhī laboñ kī
nainoñ kī tirī jhiil sī gahrā.ī Dase hai
gulshan hai sarāpā ai mirī jān-e-ġhazal tū
nāgin sī magar zulf jo lahrā.ī Dase hai
maiñ tujh se akele meñ bhī mil saktā huuñ lekin
ilzām Darā.e mujhe rusvā.ī Dase hai
le aatī haiñ ḳhushbū sī churā kar tirī yādeñ
tanhā.ī ke aalam meñ ye purvā.ī Dase hai
dālān to sāgaun ke pattoñ se aTe haiñ
aur qabr sī sunsān ye añgnā.ī Dase hai
pāgal hai dīvāna hai vo mastāna sitamgar
phūloñ kā dahan bhañvrā sā harjā.ī Dase hai
is dard-e-mohabbat meñ nahīñ tujh se shikāyat
mujh ko to mire pyaar kī gahrā.ī Dase hai
banjar hai zamīñ desh kī dil kaise sukūñ paa.e
bāzār kī baḌhtī huī mahñgā.ī Dase hai
hai nazm tū 'anvar' kī rubā.ī bhī ġhazal bhī
ai jān-e-ġhazal terī shanāsā.ī Dase hai
bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai
ek dard ubhar aae hai tanhai Dase hai
jab dekhun main aaine mein murjhai si surat
darpan se ubhar kar teri angDai Dase hai
muskan wo matwali ada surKHi labon ki
nainon ki teri jhil si gahrai Dase hai
gulshan hai sarapa ai meri jaan-e-ghazal tu
nagin si magar zulf jo lahrai Dase hai
main tujh se akele mein bhi mil sakta hun lekin
ilzam Darae mujhe ruswai Dase hai
le aati hain KHushbu si chura kar teri yaaden
tanhai ke aalam mein ye purwai Dase hai
dalan to sagaun ke patton se aTe hain
aur qabr si sunsan ye angnai Dase hai
pagal hai diwana hai wo mastana sitamgar
phulon ka dahan bhanwra sa harjai Dase hai
is dard-e-mohabbat mein nahin tujh se shikayat
mujh ko to mere pyar ki gahrai Dase hai
banjar hai zamin desh ki dil kaise sukun pae
bazar ki baDhti hui mahngai Dase hai
hai nazm tu 'anwar' ki rubai bhi ghazal bhi
ai jaan-e-ghazal teri shanasai Dase hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.