boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij
boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
boiye mazra-e-dil meñ jo ināyāt ke biij
to na hoñ sabz kabhī apnī shikāyāt ke biij
ham ne is mazra.a-e-hastī meñ kiye haiñ jo amal
ek din khīñcheñge sar un kī mukāfāt ke biij
aah dahqān-e-falak kī kahūñ kyā bad-tuḳhmī
ḳhāk-e-adām meñ ye nit bove hai āfāt ke biij
bāġhbāñ jab ta.iiñ haath aave tire bazr-ul-banj
merī turbat pe na bo aur nabātāt ke biij
valad-ul-qahba se pūchho na, tirī zaat hai kyā
biij meñ us ke haiñ maḳhlūt ka.ī zaat ke biij
daaġh siine ke mire turfa dikhāte haiñ bahār
haiñ ye bo.e hue kis naḳhl-e-tilismāt ke biij
bistar-e-shaiḳh pe jo koñch kī phalliyāñ niklīñ
the chhupā.e hue shāyad usī bad-zāt ke biij
un ko kyā hove hai juz rizq-e-pareshāñ hāsil
jā-ba-jā bote phireñ haiñ jo mulāqāt ke biij
'mus.hafī' is se bhī behtar ġhazal ik aur sunā
vādī-e-fikr meñ bo kar tū ḳhayālāt ke biij
boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij
to na hon sabz kabhi apni shikayat ke bij
hum ne is mazra-e-hasti mein kiye hain jo amal
ek din khinchenge sar un ki mukafat ke bij
aah dahqan-e-falak ki kahun kya bad-tuKHmi
KHak-e-adam mein ye nit bowe hai aafat ke bij
baghban jab tain hath aawe tere bazr-ul-banj
meri turbat pe na bo aur nabaatat ke bij
walad-ul-qahba se puchho na, teri zat hai kya
bij mein us ke hain maKHlut kai zat ke bij
dagh sine ke mere turfa dikhate hain bahaar
hain ye boe hue kis naKHl-e-tilismat ke bij
bistar-e-shaiKH pe jo konch ki phalliyan niklin
the chhupae hue shayad usi bad-zat ke bij
un ko kya howe hai juz rizq-e-pareshan hasil
ja-ba-ja bote phiren hain jo mulaqat ke bij
'mushafi' is se bhi behtar ghazal ek aur suna
wadi-e-fikr mein bo kar tu KHayalat ke bij
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.