bojh gham ka uTha nahin sakta
bojh ġham kā uThā nahīñ saktā
dard apnā batā nahīñ saktā
'ishq kā rog jo lagāyā hai
chaah kar bhī chhupā nahīñ saktā
zindagī hai to ġham mileñge hī
hausloñ ko Digā nahīñ saktā
ḳhuub daulat kamā.ī hai ġham kī
muflisī ko bhulā nahīñ saktā
jīnā-marnā mirā yahīñ yaaro
mulk ko chhoḌ jā nahīñ saktā
hijr meñ un ke rāt-bhar ro.e
hāl-e-dil ko batā nahīñ saktā
pyaar anmol hai hifāzat kar
varna ḳhud ko bachā nahīñ saktā
bojh gham ka uTha nahin sakta
dard apna bata nahin sakta
'ishq ka rog jo lagaya hai
chah kar bhi chhupa nahin sakta
zindagi hai to gham milenge hi
hauslon ko Diga nahin sakta
KHub daulat kamai hai gham ki
muflisi ko bhula nahin sakta
jina-marna mera yahin yaro
mulk ko chhoD ja nahin sakta
hijr mein un ke raat-bhar roe
haal-e-dil ko bata nahin sakta
pyar anmol hai hifazat kar
warna KHud ko bacha nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.