bojh itna hai mere shane par
bojh itnā hai mere shāne par
maiñ ki majbūr huuñ uThāne par
dosto mujh se ho ga.e barham
be-basar aa.ina dikhāne par
ab uḌūñgā maiñ apnī himmat se
lag ga.e haiñ mujhe zamāne par
bach ke niklā thā jo kabhī mujh se
aa gayā hai mire nishāne par
aa bhī jā.eñge zer-e-dām āḳhir
ye jo aate haiñ ek daane par
ik nazar hai tire ta.āqub meñ
ik nazar hai mirī zamāne par
ghar banāyā thā aur niyyat se
aa gayā huuñ maiñ ab jalāne par
duniyā aa.egī baad marne ke
ham faqīroñ ke āstāne par
rafta rafta ab aa ga.ī 'tanhā'
zindagī maut ke dahāne par
bojh itna hai mere shane par
main ki majbur hun uThane par
dosto mujh se ho gae barham
be-basar aaina dikhane par
ab uDunga main apni himmat se
lag gae hain mujhe zamane par
bach ke nikla tha jo kabhi mujh se
aa gaya hai mere nishane par
aa bhi jaenge zer-e-dam aaKHir
ye jo aate hain ek dane par
ek nazar hai tere taaqub mein
ek nazar hai meri zamane par
ghar banaya tha aur niyyat se
aa gaya hun main ab jalane par
duniya aaegi baad marne ke
hum faqiron ke aastane par
rafta rafta ab aa gai 'tanha'
zindagi maut ke dahane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.