bojh lagti hai zindagi mujhko
bojh lagtī hai zindagī mujh ko
ab to pyārī hai ḳhud-kushī mujh ko
yaad aa.ī agar tirī mujh ko
thaam legī ye shā.erī mujh ko
ab mirā kaun hai yahāñ par jo
apne hissa kī de ḳhushī mujh ko
aur is ke sivā kamī kyā ho
ho ga.ī jo tirī kamī mujh ko
sach to ye hai ġham-e-firāq meñ ab
maar Dālegī ḳhāmushī mujh ko
ek saa.e ne saath jab chhoḌā
ḳhud pe aa.ī thī kuchh hañsī mujh ko
kyā milā thā mujhe mohabbat meñ
yaad aayā haañ be-dilī mujh ko
bojh lagti hai zindagi mujh ko
ab to pyari hai KHud-kushi mujh ko
yaad aai agar teri mujh ko
tham legi ye shaeri mujh ko
ab mera kaun hai yahan par jo
apne hissa ki de KHushi mujh ko
aur is ke siwa kami kya ho
ho gai jo teri kami mujh ko
sach to ye hai gham-e-firaq mein ab
mar Dalegi KHamushi mujh ko
ek sae ne sath jab chhoDa
KHud pe aai thi kuchh hansi mujh ko
kya mila tha mujhe mohabbat mein
yaad aaya han be-dili mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.