bol na ai mere bhagwan nahin ho sakta
bol na ai mire bhagvān nahīñ ho saktā
rāsta ziist kā āsān nahīñ ho saktā
jis ne luuTā ho ġharīboñ ko masīhā ban kar
kuchh bhī ho chāhe vo insān nahīñ ho saktā
hākim-e-shahr ke har daañv se vāqif huā maiñ
ab kisī daañv pe hairān nahīñ ho saktā
paḌh ke tum nād-e-alī vaar karo dushman par
vaar be-kār ho imkān nahīñ ho saktā
laakh tū sher kahe laakh kitābeñ chhāpe
tū kabhī sāhab-e-dīvān nahīñ ho saktā
bol na ai mere bhagwan nahin ho sakta
rasta zist ka aasan nahin ho sakta
jis ne luTa ho gharibon ko masiha ban kar
kuchh bhi ho chahe wo insan nahin ho sakta
hakim-e-shahr ke har danw se waqif hua main
ab kisi danw pe hairan nahin ho sakta
paDh ke tum nad-e-ali war karo dushman par
war be-kar ho imkan nahin ho sakta
lakh tu sher kahe lakh kitaben chhape
tu kabhi sahab-e-diwan nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.