bosida imaraat ko mismar kiya hai
bosīda imārāt ko mismār kiyā hai
ham logoñ ne har raah ko hamvār kiyā hai
yuuñ markazī kirdār meñ ham Duube haiñ jaise
ḳhud ham ne Darāme kā ye kirdār kiyā hai
dīvār kī har ḳhisht pe likkhe haiñ matālib
yuuñ shahr ko ā.īna-e-iz.hār kiyā hai
bīnā.ī mire shahr meñ ik jurm hai lekin
har aañkh ko rañgoñ ne giraftār kiyā hai
darpesh abad tak kā safar hai to badan ko
kyuuñ bār-kash-e-sāya-e-ashjār kiyā hai
bosida imaraat ko mismar kiya hai
hum logon ne har rah ko hamwar kiya hai
yun markazi kirdar mein hum Dube hain jaise
KHud hum ne Darame ka ye kirdar kiya hai
diwar ki har KHisht pe likkhe hain matalib
yun shahr ko aaina-e-izhaar kiya hai
binai mere shahr mein ek jurm hai lekin
har aankh ko rangon ne giraftar kiya hai
darpesh abad tak ka safar hai to badan ko
kyun bar-kash-e-saya-e-ashjar kiya hai
- Book : Muasir (Pg. 234)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.