bosida muflisi ki rida thi phaTi rahi
bosīda muflisī kī ridā thī phaTī rahī
gard-o-ġhubār vaqt se har-dam aTī rahī
mausam kī garm sard havāoñ kā ḳhauf kyā
apnī hayāt ranj-o-ḳhushī meñ baTī rahī
vo shaḳhs gir bhī jaa.e to is meñ ajiib kiyā
jis kī nigāh rāhguzar se haTī rahī
rishtoñ kī Dor hotī hai nāzuk ḳhayāl rakh
ik baar kaT ga.ī to hamesha kaTī rahī
hai kaisī saḳht-jān ye chiḌiyā umiid kī
jo sar-phirī havā ke muqābil DaTī rahī
tote kā vasf hai ki sabaq bhūltā nahīñ
jo baat raT chukā vo hamesha raTī rahī
jo kaT ga.ī 'nadīm' ga.ī apne haath se
Dorī patang kī jo kaTī to kaTī rahī
bosida muflisi ki rida thi phaTi rahi
gard-o-ghubar waqt se har-dam aTi rahi
mausam ki garm sard hawaon ka KHauf kya
apni hayat ranj-o-KHushi mein baTi rahi
wo shaKHs gir bhi jae to is mein ajib kiya
jis ki nigah rahguzar se haTi rahi
rishton ki Dor hoti hai nazuk KHayal rakh
ek bar kaT gai to hamesha kaTi rahi
hai kaisi saKHt-jaan ye chiDiya umid ki
jo sar-phiri hawa ke muqabil DaTi rahi
tote ka wasf hai ki sabaq bhulta nahin
jo baat raT chuka wo hamesha raTi rahi
jo kaT gai 'nadim' gai apne hath se
Dori patang ki jo kaTi to kaTi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.