bughz nafrat ko bahut dur kahin rakhte hain
buġhz nafrat ko bahut duur kahīñ rakhte haiñ
ḳhāna-e-dil meñ mohabbat kā makīñ rakhte haiñ
ham tirī samt bikhereñge duā ke jugnū
ik yahī lafz-e-hunar apne ta.iiñ rakhte haiñ
ham laboñ par hī sajāte haiñ tabassum ke gulāb
lazzat-e-dard-e-anā dil ke qarīñ rakhte haiñ
haiñ tar-o-tāza tirī fikr ke gul-būTe to
ham bhī ḳhush-rang ḳhayālāt zamīñ rakhte haiñ
fāqa-mastī se hī fursat nahīñ miltī 'aḳhtar'
varna kashkol meñ ham nān-e-javīñ rakhte haiñ
bughz nafrat ko bahut dur kahin rakhte hain
KHana-e-dil mein mohabbat ka makin rakhte hain
hum teri samt bikherenge dua ke jugnu
ek yahi lafz-e-hunar apne tain rakhte hain
hum labon par hi sajate hain tabassum ke gulab
lazzat-e-dard-e-ana dil ke qarin rakhte hain
hain tar-o-taza teri fikr ke gul-buTe to
hum bhi KHush-rang KHayalat zamin rakhte hain
faqa-masti se hi fursat nahin milti 'aKHtar'
warna kashkol mein hum nan-e-jawin rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.