bujh chuka suraj andhera ho chuka hai dosto
bujh chukā sūraj añdherā ho chukā hai dosto
duur mujh se merā saaya ho chukā hai dosto
chāñd ko chhū kar ḳhudā kī zaat ke munkir hue
qad hamārā kitnā ūñchā ho chukā hai dosto
dafn jo sadiyoñ rahā tahzīb ke ambār meñ
tang aa kar ab vo nangā ho chukā hai dosto
jism kyā dil kyā jigar kyā ruuh tak chhalnī huī
vaqt kā bartāv aisā ho chukā hai dosto
qurb se jis ke mahak uTThe the ye dīvār-o-dar
rang us ḳhushbū kā mailā ho chukā hai dosto
jo ghirā rahtā thā kal tak dostoñ kī bhiiḌ meñ
aaj vo bilkul akelā ho chukā hai dosto
ab to apne aap se milne kī bhī fursat nahīñ
is qadar 'shādāb' tanhā ho chukā hai dosto
bujh chuka suraj andhera ho chuka hai dosto
dur mujh se mera saya ho chuka hai dosto
chand ko chhu kar KHuda ki zat ke munkir hue
qad hamara kitna uncha ho chuka hai dosto
dafn jo sadiyon raha tahzib ke ambar mein
tang aa kar ab wo nanga ho chuka hai dosto
jism kya dil kya jigar kya ruh tak chhalni hui
waqt ka bartaw aisa ho chuka hai dosto
qurb se jis ke mahak uTThe the ye diwar-o-dar
rang us KHushbu ka maila ho chuka hai dosto
jo ghira rahta tha kal tak doston ki bhiD mein
aaj wo bilkul akela ho chuka hai dosto
ab to apne aap se milne ki bhi fursat nahin
is qadar 'shadab' tanha ho chuka hai dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.