bujh chuki aag magar ab bhi jalan baqi hai
bujh chukī aag magar ab bhī jalan baaqī hai
merī āñkhoñ meñ shab-e-ġham kī chubhan baaqī hai
kāñch ke zarf zarūrī nahīñ piine ke liye
ab bhī miTTī ke piyāloñ kā chalan baaqī hai
hone vaalā hai shab-e-ġham kā saverā lekin
ab bhī āñkhoñ meñ añdheroñ kī ghuTan baaqī hai
kab fasīloñ ne havāoñ ke safar ko rokā
phir bhī dīvār kā zindāñ meñ chalan baaqī hai
kitne ārām se sotā hai safar kar ke magar
qabr kahtī hai musāfir kī thakan baaqī hai
luT ga.ī apne asāse kī har ik shai lekin
bas buzurgoñ kī du'āoñ se vatan baaqī hai
raat kaT jā.egī āsār nahīñ haiñ 'kausar'
phir bhī ummīd kī halkī sī kiran baaqī hai
bujh chuki aag magar ab bhi jalan baqi hai
meri aankhon mein shab-e-gham ki chubhan baqi hai
kanch ke zarf zaruri nahin pine ke liye
ab bhi miTTi ke piyalon ka chalan baqi hai
hone wala hai shab-e-gham ka sawera lekin
ab bhi aankhon mein andheron ki ghuTan baqi hai
kab fasilon ne hawaon ke safar ko roka
phir bhi diwar ka zindan mein chalan baqi hai
kitne aaram se sota hai safar kar ke magar
qabr kahti hai musafir ki thakan baqi hai
luT gai apne asase ki har ek shai lekin
bas buzurgon ki du'aon se watan baqi hai
raat kaT jaegi aasar nahin hain 'kausar'
phir bhi ummid ki halki si kiran baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.