bujh gaya hai jo TimTima ke charagh
bujh gayā hai jo TimTimā ke charāġh
jal rahā thā havā ko khā ke charāġh
asl meñ us ko mahñgā paḌtā hai
bhuul jaatā hai jo jalā ke charāġh
ai havā zor ab dikhā apnā
maiñ ne rakkhā hai ik bujhā ke charāġh
ik faqat is badan ko chhūte hī
jhilmilāne lage qabā ke charāġh
raushnī dil kī samt jaatī hai
thaam letā huuñ jab duā ke charāġh
kyoñ jalāte ho dhuup meñ 'ātir'
paas rakkho abhī bachā ke charāġh
bujh gaya hai jo TimTima ke charagh
jal raha tha hawa ko kha ke charagh
asl mein us ko mahnga paDta hai
bhul jata hai jo jala ke charagh
ai hawa zor ab dikha apna
main ne rakkha hai ek bujha ke charagh
ek faqat is badan ko chhute hi
jhilmilane lage qaba ke charagh
raushni dil ki samt jati hai
tham leta hun jab dua ke charagh
kyon jalate ho dhup mein 'atir'
pas rakkho abhi bacha ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.