bujh jae jo dil naghz-bayani nahin rahti
bujh jaa.e jo dil naġhz-bayānī nahīñ rahtī
sūkhe hue dariyā meñ ravānī nahīñ rahtī
kar sakte nahīñ ham nayā andāz hī paidā
qaa.em bhī ravish apnī purānī nahīñ rahtī
raat āñkhoñ hī āñkhoñ meñ guzar jaatī hai aise
jab sub.h nikaltī hai suhānī nahīñ rahtī
sanjīda za.īfī kā use maqbara kahiye
jis jism meñ shorīda javānī nahīñ rahtī
jab bolne lagtī hai nazar us kī fasāhat
yāroñ kī hamāre hama-dānī nahīñ rahtī
ho sher zabāñ-zad to koī vāqi.a hogā
yādoñ meñ faqat koī kahānī nahīñ rahtī
paatā huuñ panapte hue 'shaukat' jo badī ko
nekī se mirī nek-gumānī nahīñ rahtī
bujh jae jo dil naghz-bayani nahin rahti
sukhe hue dariya mein rawani nahin rahti
kar sakte nahin hum naya andaz hi paida
qaem bhi rawish apni purani nahin rahti
raat aankhon hi aankhon mein guzar jati hai aise
jab subh nikalti hai suhani nahin rahti
sanjida zaifi ka use maqbara kahiye
jis jism mein shorida jawani nahin rahti
jab bolne lagti hai nazar us ki fasahat
yaron ki hamare hama-dani nahin rahti
ho sher zaban-zad to koi waqia hoga
yaadon mein faqat koi kahani nahin rahti
pata hun panapte hue 'shaukat' jo badi ko
neki se meri nek-gumani nahin rahti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.