bujha bhi ho to ujala meri nazar mein rahe
bujhā bhī ho to ujālā mirī nazar meñ rahe
koī charāġh to aisā bhī mere ghar meñ rahe
banā banā ke bigāḌā gayā hameñ aksar
misāl-e-kūza kisī dast-e-kūza-gar meñ rahe
hisār-e-ishq se bāhar nikal sake na kabhī
ki ham bichhaḌ ke bhī tujh se tire asar meñ rahe
rah-e-safar meñ sar-e-shām ham Thahar to ga.e
magar kuchh aise ki jaise koī safar meñ rahe
firāq-e-yār hī taqdīr ho to kyā kiije
visāl-e-yār kā saudā hazār sar meñ rahe
nigāh ḳhuub sahī dūsroñ ke aiboñ par
magar ḳhud apnā garebān bhī nazar meñ rahe
na ho ḳhushī kā gumāñ aise ġham pe kyuuñ 'ḳhāvar'
jo ġham ḳhushī kī tarah qalb-e-mo'atabar meñ rahe
bujha bhi ho to ujala meri nazar mein rahe
koi charagh to aisa bhi mere ghar mein rahe
bana bana ke bigaDa gaya hamein aksar
misal-e-kuza kisi dast-e-kuza-gar mein rahe
hisar-e-ishq se bahar nikal sake na kabhi
ki hum bichhaD ke bhi tujh se tere asar mein rahe
rah-e-safar mein sar-e-sham hum Thahar to gae
magar kuchh aise ki jaise koi safar mein rahe
firaq-e-yar hi taqdir ho to kya kije
visal-e-yar ka sauda hazar sar mein rahe
nigah KHub sahi dusron ke aibon par
magar KHud apna gareban bhi nazar mein rahe
na ho KHushi ka guman aise gham pe kyun 'KHawar'
jo gham KHushi ki tarah qalb-e-mo'atabar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.