bujha bujha sa gul-e-tar dikhai deta hai
bujhā bujhā sā gul-e-tar dikhā.ī detā hai
'ajīb shahr kā manzar dikhā.ī detā hai
maiñ jis ke vāste phūloñ kā haar laayā huuñ
usī ke haath meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
ye shahr-e-shīshagarāñ ko ḳhabar nahīñ shāyad
har ek haath meñ patthar dikhā.ī detā hai
yaqīn kaise karūñ ġhair kī mohabbat kā
ki apnā bhaa.ī sitamgar dikhā.ī detā hai
qalam uThāne kā jis ko abhī shu'ūr nahīñ
vo aadmī bhī suḳhanvar dikhā.ī detā hai
nigāh Daalī hai jab se mire masīhā ne
bulandiyoñ pe muqaddar dikhā.ī detā hai
tumhārī bazm meñ tārīkiyāñ haiñ kyoñ 'anjum'
falak pe chāñd sā dilbar dikhā.ī detā hai
bujha bujha sa gul-e-tar dikhai deta hai
'ajib shahr ka manzar dikhai deta hai
main jis ke waste phulon ka haar laya hun
usi ke hath mein KHanjar dikhai deta hai
ye shahr-e-shishagaran ko KHabar nahin shayad
har ek hath mein patthar dikhai deta hai
yaqin kaise karun ghair ki mohabbat ka
ki apna bhai sitamgar dikhai deta hai
qalam uThane ka jis ko abhi shu'ur nahin
wo aadmi bhi suKHanwar dikhai deta hai
nigah Dali hai jab se mere masiha ne
bulandiyon pe muqaddar dikhai deta hai
tumhaari bazm mein tarikiyan hain kyon 'anjum'
falak pe chand sa dilbar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.