bujha bujha sa hai manzar koi charagh nahin
bujhā bujhā sā hai manzar koī charāġh nahīñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā maz.har koī charāġh nahīñ
kisī mazār pe jaltā ho yā sar-e-mahfil
mirī nazar meñ to kamtar koī charāġh nahīñ
basā hai dil meñ jo valiyoñ sā ḳhushnumā chehra
usī se dil hai munavvar koī charāġh nahīñ
nashist-e-zan hai vo raste meñ tīrgī kī sipāh
mirī kumak meñ mayassar koī charāġh nahīñ
tumhārī aañkh se baḌh kar koī bhī jaam nahīñ
tumhāre saath se baḌh kar koī charāġh nahīñ
sitāre oḌh ke soyā hai vo parī-paikar
mire jahāñ ke falak par koī charāġh nahīñ
batā.ūñ raaz kī bāteñ maiñ tum ko kyā 'āsif'
darūd-e-pāk se behtar koī charāġh nahīñ
bujha bujha sa hai manzar koi charagh nahin
KHayal-o-KHwab ka mazhar koi charagh nahin
kisi mazar pe jalta ho ya sar-e-mahfil
meri nazar mein to kamtar koi charagh nahin
basa hai dil mein jo waliyon sa KHushnuma chehra
usi se dil hai munawwar koi charagh nahin
nashist-e-zan hai wo raste mein tirgi ki sipah
meri kumak mein mayassar koi charagh nahin
tumhaari aankh se baDh kar koi bhi jam nahin
tumhaare sath se baDh kar koi charagh nahin
sitare oDh ke soya hai wo pari-paikar
mere jahan ke falak par koi charagh nahin
bataun raaz ki baaten main tum ko kya 'asif'
darud-e-pak se behtar koi charagh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.