bujha charagh sar-e-taq dhar ke roega
bujhā charāġh sar-e-tāq dhar ke ro.egā
ye vaqt mujh ko kabhī yaad kar ke ro.egā
mirī satā.ishī āñkheñ kahāñ mileñgī tujhe
tū aa.ine meñ bahut din sañvar ke ro.egā
use to sirf bichhaḌne kā dukh hai aur mujhe
ye ġham bhī hai vo mujhe yaad kar ke ro.egā
maiñ jāntā huuñ mire par katar rahā hai vo
maiñ jāntā huuñ mire par katar ke ro.egā
maqām-e-rabt ke ziine vo jald-bāzī meñ
utar to jā.egā lekin utar ke ro.egā
vo saḳht-jāñ sahī lekin mirī judā.ī meñ
'zahīr' ret kī sūrat bikhar ke ro.egā
bujha charagh sar-e-taq dhar ke roega
ye waqt mujh ko kabhi yaad kar ke roega
meri sataishi aankhen kahan milengi tujhe
tu aaine mein bahut din sanwar ke roega
use to sirf bichhaDne ka dukh hai aur mujhe
ye gham bhi hai wo mujhe yaad kar ke roega
main jaanta hun mere par katar raha hai wo
main jaanta hun mere par katar ke roega
maqam-e-rabt ke zine wo jald-bazi mein
utar to jaega lekin utar ke roega
wo saKHt-jaan sahi lekin meri judai mein
'zahir' ret ki surat bikhar ke roega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.