bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi
bujhā ke rakh de ye koshish bahut havā kī thī
magar charāġh meñ kuchh raushnī anā kī thī
mirī shikast meñ kyā kyā the muzmarāt na pūchh
adū kā haath thā aur chaal āshnā kī thī
faqīh-e-shahr ne be-zār kar diyā varna
diloñ meñ qadr bahut ḳhāna-e-ḳhudā kī thī
abhī se tum ne dhuāñ-dār kar diyā māhaul
abhī to saañs hī lene kī ibtidā kī thī
shikast vo thī ki jab merī sar-bulandī kī
mire adū ne mire vāste duā kī thī
ham ab ġhubār-e-mah-o-sāl kī lapeT meñ haiñ
hamāre chehre pe raunaq kabhī balā kī thī
bujha ke rakh de ye koshish bahut hawa ki thi
magar charagh mein kuchh raushni ana ki thi
meri shikast mein kya kya the muzmaraat na puchh
adu ka hath tha aur chaal aashna ki thi
faqih-e-shahr ne be-zar kar diya warna
dilon mein qadr bahut KHana-e-KHuda ki thi
abhi se tum ne dhuan-dar kar diya mahaul
abhi to sans hi lene ki ibtida ki thi
shikast wo thi ki jab meri sar-bulandi ki
mere adu ne mere waste dua ki thi
hum ab ghubar-e-mah-o-sal ki lapeT mein hain
hamare chehre pe raunaq kabhi bala ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.