bujhe agar badan ke kuchh charagh tere hijr mein
bujhe agar badan ke kuchh charāġh tere hijr meñ
jalā liye suḳhan ke kuchh charāġh tere hijr meñ
chaman ḳhizāñ ḳhizāñ ho jab bujhā bujhā huā ho dil
kareñ bhī kyā chaman ke kuchh charāġh tere hijr meñ
shab-e-firāq par huā shab-e-visāl kā gumāñ
mahak uThe milan ke kuchh charāġh tere hijr meñ
udāsiyoñ ke habs meñ jo terī yaad aa ga.ī
to jal uThe pavan ke kuchh charāġh tere hijr meñ
so kyoñ na dil ke daaġh gin ke kaaT liije aaj shab
gine the kal gagan ke kuchh charāġh tere hijr meñ
bujhe agar badan ke kuchh charagh tere hijr mein
jala liye suKHan ke kuchh charagh tere hijr mein
chaman KHizan KHizan ho jab bujha bujha hua ho dil
karen bhi kya chaman ke kuchh charagh tere hijr mein
shab-e-firaq par hua shab-e-visal ka guman
mahak uThe milan ke kuchh charagh tere hijr mein
udasiyon ke habs mein jo teri yaad aa gai
to jal uThe pawan ke kuchh charagh tere hijr mein
so kyon na dil ke dagh gin ke kaT lije aaj shab
gine the kal gagan ke kuchh charagh tere hijr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.