bujhe bujhe hue dagh-e-jigar ki baat na kar
bujhe bujhe hue dāġh-e-jigar kī baat na kar
bhaḌak uThegā ye sho.ala sahar kī baat na kar
bas ek baar mohabbat se dekhne vaale
ye vo karam hai ki bār-e-digar kī baat na kar
taras na jaa.eñ kahīñ rañg-o-bū ko ahl-e-chaman
guloñ ko dekh ke zaḳhm-e-jigar kī baat na kar
matā-e-dard baḌhā aur muskurā.e jā
shab-e-firāq numūd-e-sahar kī baat na kar
nayā nahīñ hai ye hañgāma ahl-e-dil ke liye
sukūt-e-ā.ina-e-ḳhud-nigar kī baat na kar
kahāñ kahāñ se guzarnā hai be-niyāzāna
nazar se dekh shu.ūr-e-nazar kī baat na kar
ye phuul haiñ mire 'nashtar' jigar ke daaġh nahīñ
fareb-ḳhurda-e-shabnam guhar kī baat na kar
bujhe bujhe hue dagh-e-jigar ki baat na kar
bhaDak uThega ye shoala sahar ki baat na kar
bas ek bar mohabbat se dekhne wale
ye wo karam hai ki bar-e-digar ki baat na kar
taras na jaen kahin rang-o-bu ko ahl-e-chaman
gulon ko dekh ke zaKHm-e-jigar ki baat na kar
mata-e-dard baDha aur muskurae ja
shab-e-firaq numud-e-sahar ki baat na kar
naya nahin hai ye hangama ahl-e-dil ke liye
sukut-e-aina-e-KHud-nigar ki baat na kar
kahan kahan se guzarna hai be-niyazana
nazar se dekh shuur-e-nazar ki baat na kar
ye phul hain mere 'nashtar' jigar ke dagh nahin
fareb-KHurda-e-shabnam guhar ki baat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.