bujhe na shama-e-gham-e-dil to kya sahar hona
bujhe na sham.a-e-ġham-e-dil to kyā sahar honā
dalīl-e-sub.h nahīñ raat kā basar honā
kabhī zamīñ pe kabhī taḳht-e-arsh par honā
sikhā diyā hai kisī ne hameñ bashar honā
kabhī idhar se guzarnā kabhī udhar honā
hai kuchh na kuchh to havāoñ kā mere sar honā
hazār marhala-e-daur se guzarnā hai
koī mazāq nahīñ shaam kā sahar honā
khaTak rahā hai dil-e-bāġhbāñ meñ kāñTā sā
chaman se pyaar mirā matmah-e-nazar honā
hañsī nahīñ hai ġham-e-zīst kā bharam rakhnā
ḳhudī kī aag meñ jalnā hai dīda-var honā
girāñ bahut hī girāñ ahl-e-dil pe guzrī hai
tirā rumūz-e-mohabbat se be-ḳhabar honā
fasīl-e-shahr pe rakh dī hai ham ne sham-e-vafā
fusūn-e-shab kā hai dushvār kārgar honā
hai nukta-ras to koī nukta-chīn ai 'shāriq'
tazād-e-zāt banā sāhab-e-hunar honā
bujhe na shama-e-gham-e-dil to kya sahar hona
dalil-e-subh nahin raat ka basar hona
kabhi zamin pe kabhi taKHt-e-arsh par hona
sikha diya hai kisi ne hamein bashar hona
kabhi idhar se guzarna kabhi udhar hona
hai kuchh na kuchh to hawaon ka mere sar hona
hazar marhala-e-daur se guzarna hai
koi mazaq nahin sham ka sahar hona
khaTak raha hai dil-e-baghban mein kanTa sa
chaman se pyar mera matmah-e-nazar hona
hansi nahin hai gham-e-zist ka bharam rakhna
KHudi ki aag mein jalna hai dida-war hona
giran bahut hi giran ahl-e-dil pe guzri hai
tera rumuz-e-mohabbat se be-KHabar hona
fasil-e-shahr pe rakh di hai hum ne sham-e-wafa
fusun-e-shab ka hai dushwar kargar hona
hai nukta-ras to koi nukta-chin ai 'shaariq'
tazad-e-zat bana sahab-e-hunar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.