bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri
bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
bujhī bujhī sī hai āñkhoñ kī raushnī merī
vo kyā ga.e ki ga.ī saath zindagī merī
tirī ḳhushī se to baḌh kar nahīñ ḳhushī merī
tirī ḳhushī hī pe sadqe hai zindagī merī
banā rahā thā maiñ tasvīr ġham ke māroñ kī
ye kyā huā ki vo tasvīr ban ga.ī merī
zamāna kitnā hai mānūs merī hālat se
badal badal ke kahānī likhī ga.ī merī
vo kyā nibhā.eñge ab ḳhaak dard kā rishta
unheñ to lagtī hai sūrat bhī ajnabī merī
sabhī the Duube hue apne jām-o-sāġhar meñ
koī to dekhtā āñkhoñ kī tishnagī merī
ḳhayāl aap kā aaya to bhar ga.iiñ āñkheñ
hayāt kitnī hai hassās aaj bhī merī
abhī se aa.ina kyoñ rakh diyā mire aage
abhī to vaqt ne dekhī nahīñ chhabī merī
maiñ dekhtā rahā āñkhoñ se apnī barbādī
kisī ne luuT lī duniyā se har ḳhushī merī
chalo ḳhayāl to aaya unheñ kabhī merā
ye aur baat ki hasrat nikal ga.ī merī
maiñ is fareb meñ jiitā rahā 'sahar' ab tak
ki un ke vāste sab kuchh hai zindagī merī
bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri
wo kya gae ki gai sath zindagi meri
teri KHushi se to baDh kar nahin KHushi meri
teri KHushi hi pe sadqe hai zindagi meri
bana raha tha main taswir gham ke maron ki
ye kya hua ki wo taswir ban gai meri
zamana kitna hai manus meri haalat se
badal badal ke kahani likhi gai meri
wo kya nibhaenge ab KHak dard ka rishta
unhen to lagti hai surat bhi ajnabi meri
sabhi the Dube hue apne jam-o-saghar mein
koi to dekhta aankhon ki tishnagi meri
KHayal aap ka aaya to bhar gain aankhen
hayat kitni hai hassas aaj bhi meri
abhi se aaina kyon rakh diya mere aage
abhi to waqt ne dekhi nahin chhabi meri
main dekhta raha aankhon se apni barbaadi
kisi ne luT li duniya se har KHushi meri
chalo KHayal to aaya unhen kabhi mera
ye aur baat ki hasrat nikal gai meri
main is fareb mein jita raha 'sahar' ab tak
ki un ke waste sab kuchh hai zindagi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.